KaL Raat Ko Main Ne Aik Khuwaab Dekha

KaL Raat Ko Main Ne Aik Khuwaab Dekha,
Khuwaab Main Aik Chehra Maine Be-NaQaab Dekha,

Dekhta Hi Reh Gaya Tha Main Unhain,
Hussan Hi Kuch Aisa La-Jawaab Dekha,

Noor Hi Noor Tha Saraapa Un Ka,
Kitnaa Be-MisaaL Shabaab Dekha,

Dekha Surukh Laboo'n Ko Jub Muskuraaty Howe Un K,
To GuLshan Main Sharminda GuLaab Dekha,

Bedaar Howe Neend Se To Ye Jaana Sanam,
Kitna Haseen Tha Jo Main Ne Khuwaab Dekha,

Hasrat Hain Unhain Phir Dekhne Ki SAM,
Apni Bhi To Kuch Niyyat Kharaab Dekha,


Kabhi Itna Wo Chaahen K Mujhe Pagal Wo Kar Daalen

Kabhi Itna Wo Chaahen K Mujhe Pagal Wo Kar Daalen
Kabhi Nafrat K Dariya Me Mujhe Daakhil Wo Kar Daalen

Kabhi Sultaan Bana Daalen Mujhe Apni Wo Duniya Ka
Kabhi To Sheher Me Apne Mujhe Saail Wo Kar Daalen

Kabhi Wo Be-Panah Deedar Ki Daulat Mujhe De Dein
Kabhi Parday Ki Deewaren Kadi Haayal Wo Kar Daalen

Kabhi Apne Wo Pehlu Me Mujhe Sadiyaan Sulaa Daalen
Kabhi Barson Ki Neendon Me Ajab Halchal Wo Kar Daalen...

Mohabbat hum ne ki jo ik khata hogai

Mohabbat hum ne ki jo ik khata hogai
Ki wafa or zindagi saza hogayi,

Wafa kerte rahay hum ibadaton ki tara
Phir ibadaat khud ik gunah ban gayi,

Kitna suhana tha safar jab sath thay hum
Phir kiya howa kyon manzil juda hogayi,

Koi chahat koi hasrat koi umeed nahi rahi
Wo gaya tu laga dunya fana hogayi,

Ye dua ki ke jisay chahe wohi milay osay
Par ye dua apne liye bad dua hogayi,

Abhi kuch dair howi usay yaad karte howay
Ye aaj kyon itni jaldi subah hogayi ?

Ghafil Teri Yaadon Se Hua Main To Nahi Tha

Ghafil Teri Yaadon Se Hua Main To Nahi Tha
Tu Tha Hi Juda Tujh Se Juda Main To Nahi Tha

Ja Tu Meri Guftar K Qabil Hi Nahi Hai
Ye Lafz Kabhi Keh K Gaya Main To Nahi Tha

Be-Saakhta Ghabra K Pukara Tha Kisi Ko
Socho Tere Honton Ki Sada Main To Nahi Tha

Koi To Mere Jurm Ki Tafseel Bata De
Aye FAIZ Tere Haq Main Bura Main To Nahi Tha...



Copyright © EnnLaw | Floating Leaves template designed by ennyLaw | eLaw's Design